Oppo A3 5G Tips And Tricks | Top 10 important Features

Oppo A3 5G Tips And Tricks | Top 10 important Features

Oppo A3 5G Tips And Tricks | important Features

doston hum baat karenge isi new  Oppo A3 5G ke top 10 features ke baare me. in features ko settings ko Tips,Tricks ko on karke use karke aao apne smartphone ko bahot hi awesome interesting tarike se istemaal kar sakte hain.. sabse pahle neeche saare features ke naam hain.. matlab sabse pahle features ke naam batata hun uske baad un features ko kaise on kare aur un features ke benefites ke batata hun.. Lets GO


Features Name

1 : Payment protection
2 : Hide notification details on Lock screen
3 : Notification history
4 : App securty
5 : Charging limit
6 : Lift to ear to answer calls
7 : Double-tap to wake or turn off screen & Double tap to lock
8 : Icon pull-down gesture
9 : Caller ID announcement
10 : Display data usage in notification drawer


How To On & Benefites These Settings

1 : Payment protection

 

 

Oppo-A3-5G-Tips-And-Tricks-

 

How To On – Sabse pahle Phone Manager applicaton ko open karo uske baad Payment Protection mein jaavo uske baad aapke phone me payment waale jo bhi applications hain unko turn on karlo.. 
Benefits – isko on karne se aapke payment waale apps hain wo safe rahenge. aap galat payment karne se bachenge. wo payment wale apps ko smartphone protect karta rahega


2 : Hide notification details on Lock screen

Oppo A3 5G Tips And Tricks 2

 

How To On – isko on karke ke liye sabse pahle Settings mein jana hai uske baad Notification & Status Bar mein jana hai uske baad Hide Notification Details On Lock Screen ko on kar lena hai
Benefits – ye by default toh of rahta hai. agar aap isko of hi rakhenge to maal lo aap smartphone ko lock karke kahin bhi rhake hain. aur aapko Sms aur notifications aate hain to wo lock screen pe show hote hain. aur OTP aati hai to wo bhi show hoti hai. aap kahin bhi phone ko rakhe hain toh lock screen se OTP koi bhi leke aapke accounts ko H@ck kar sakte hai.. us liye hum iss setting ko on karenge. agar aapne on kar liya toh Lock screen par Sms OTP details show nahi honge aur aapke accounts safe rahenge


3 : Notification historyOppo-A3-5G-Tips-And-Tricks

How To On – isko on karke ke liye sabse pahle Settings mein jana hai uske baad Notification & Status Bar mein jana hai uske baad More Settings mein jana hai uske baad Notificaton History main jana hai aur isko on kar lena hai..
Benefits – isko on karne se aako whatsapp pe msg karke koi bhi Everyone delete karta hai toh wo msg aapko yahan pe dikhta hai.. aur aapko jo bhi msg aur notifocations aate hain wo aapko yahan pe dikte hain. aur 24 hours tak rahte hain


4 : App securtyOppo-A3-5G

How To On – isko on karne ke liye Sabse pahle Settings mein jana hai uske baad Security And Privacy mein jana hai uske baad App Security main jana hai uske baad Google Play Protect mein jana hai uske baad Scan pe click karke yahan se Scan kar lena hai
Benefits – Yahan se scan karne se Google aapke phone me jitne bhi Apps hain unko Scan karta hai. aur scan karne se maloom padhta hai ke aapke phone me koi bhi apps se aapke phone ko risk hai kya.. matlab Un Secure apps ko detect karke aapko batata hai ke ye Application se Phone ko risk hai isko delete kijiye


5 : Charging limit

Oppo A3 5G Tips And Tricks

 

How To On – doston isko on karne ke liye sabse pahle aapko jana hai.. Settings mein uske baad Battery mein jana hai uske baad Charging Limit ko on karna hai.
Benefits – isko on karne se aapke phone ki battery 80% se ziyada Charge nahi hogi 80% pe charging automatic stop ho jata hai.. isko zaroor on karna kyun ki agar aap overnight charging lagate hain. matlab charging laga ke so jaate hain toh bhi battery kharab nahi hogi, battery par koi Bad effect nahi padega. matlab isko on karne se aapke phone ki battery ziyada dinon tak acha rahegi, jaldi kharan nahi hogi…


6 : Lift to ear to answer calls

Oppo A3 5G Features

 

How To On – isko on karne ke liye Sabse pahle Settings mein jana hai uske baad neeche aake Special Features mein aana hai uske baad Gestures & Motions mein aana hai uske baad Lift To Ear To Answer Calls ko on kar lena hai..
Benefits – doston isko on karne se maal lo aapko call aata hai toh aapko finger se touch karke call ko recieve karne ki zaroorat nahi.. call aane ke baad phone ko seedha aapko ear/kaan ke paas leke jana hai toh wo automatic call recieve ho jata hai


7 : Double-tap to wake or turn off screen & Double tap to lock

Oppo A3 5G Top 10 Features

 

How To On – doston isko on karne ke liye Home Screen pe jahan pe bhi khali jagah hai wahan Finger Se Press Karke Rakhna Hai 2 Sec uske baad More pe click karna hai uske baad Double Tap To Lock ko on karna hai aur thoda neeche aake Double Tap To Wake Or Turn Off Screen ko bhi on kar lena hai
Benefits – doston inn dono setttings ko on karne ke baad.. aap home screen pe double tap karenge toh screen off hota hai matlab phoen lock hota hai.. aur usi lock hue phone ke screen pe double tap karenge toh screen on bhi hota hai. matlab lock button ko use karne ki zaroorat hi nahi Lock aur unlock ke liye…


8 : Icon pull-down gesture

Oppo A3 5G Best Settings

 

How To On – doston isko on karne ke liye again Home Screen Pe Long Press Karna hai uske baad More mein jana hai.. uske baad Icon Pull Down Gesture me jaake isko on kar lena hai..
Benefits – isko on karne se hoga ye ke.. maal lo aap 1 haath se smartphone istemaal kar rahe hain.. to apps ko open karne mein problem ho rahi hai to aap Left side neeche se long press karne upar ke side finger ko drag karenge toh.. saare home screen waale apps neeche ayenge uske baad aap finger ko drag karke jis app ke upar finger chodenge wo app open hota hai..


9 : Caller ID announcement

 

Oppo A3 5G Tricks

 

How To On – isko on karne ke liye sabse pahle jana hai Phone App mein matlab Jis app se aap call karte hain uss app ko open karna hai uske baad upar right side me 3 dots pe click karna hai uske baad Settings pe click karna hai uske baad neeche aake Caller ID Announcement me aana hai uske baad Always pe set karna hai,,
Benefits – isko Always pe set karne se hoga ye ke.. aapko call aata hai toh kiska call aara hai uska naam speaker mein bolega. aap kahin bhi dhoor smartphone ko rhak ke kaam kar rahe hain toh naam sun ke pata kar sakte hain ke kiska call aara hai


10 : Display data usage in notification drawer

Oppo A3 5G Tips

 

How To On – isko on karne ke liye sabse pahle jana hai Settings mein uske baad jana hai Notification & status Bar mein uske baad jana hai More Settings mein uske baad on karna hai Display Data Usage in Notification Drawer ko on kar lena hai..
Benefits – isko on karenge toh aap subha se leke abi tak kitna internet matlab MB/GB use kiya hai wo batayega upar Control Center me jaane ke baad


Toh ye the isi Oppo A3 5g ke maine aapko bataya hai Top 10 Features ya Settings ya Tips,Tricks. doston aap isi tarah ke 60 se ziyada features wala YouTube video dekhna chahte hain toh neeche aapko video dikh raha hoga. uss video mein isi tarah ke ya isse bhi ache ache 60 features hain : Thank You

Oppo A3 5G Top 60+ Features Click Here

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *