Vivo V40 and V40 Pro Top 10 Hidden Features

Vivo V40 & V40 Pro Tips And Tricks | Hidden Features, Turn On These Important Settings

Vivo V40 & V40 Pro Tips And Tricks | Hidden Features, Turn On These 10 Important Settings

Hum Dekhenge Top 10 Features Ko isi Vivo V40 Series Smartphones Ke, Hum Benefits Bhi Dekhenge Features Ko Istemaal Karne Ke Aur saat Mein in Features Ko On Kaise Kare ye Bhi Dekhenge

Vivo V40 and V40 Pro Top 10 Hidden Features

Features Name
1 : Vivo V40 & V40 Pro Phone cooling
2 : Vivo V40 & V40 Pro Payment safe
3 : Vivo V40 & V40 Pro Always on display
4 : Vivo V40 & V40 Pro Ambient light effect
5 : Vivo V40 & V40 Pro Notification history
6 : Vivo V40 & V40 Pro Notifications on lock screen
7 : Vivo V40 & V40 Pro Battery health and charging
8 : Vivo V40 & V40 Pro Voice isolation
9 : Vivo V40 & V40 Pro Face beauty for video call
10 : Vivo V40 & V40 Pro Smart Answer


1 : Vivo V40 & V40 Pro Phone cooling

Vivo V40 V40 Pro Tips And Tricks 1

How To On – isko on karne ke liye sabse pahle aapko jana hai I Manegar appliction mein uske baad Utility Tools mein jana hai uske baad Phone Cooling mein jana hai Uske Baad Cool Down pe click karna hai
Benefits – isko istemaal uss waqt karna jab aapko phone Heat hota hai, yaha se aap apne phone ko Cool Kar sakte hain


2 : Vivo V40 & V40 Pro Payment safe

Vivo V40 & V40 Pro Hidden Features 2

How To On – isko on karne ke liye again I Manager applicaton mein jana hai, uske baad Utility Tools mein jana hai, uske baad Payment Safe mein jana hai, uske baad Aapke phone mein jitne bhi Payment/UPI waale applications hain unn sab ko yaha se on kar lene hai
Benefits – yaha se payment apps ko on karne se aapke payment waale apps Safe rahenge, aap galat payments karne se bachenge, wo apps ko Protect karega smartphone


3 : Vivo V40 & V40 Pro Always on display

Vivo V40 & V40 Pro Features 3

How To On – doston isko on karne ke liye sabse pahle Settings mein mein jana hai uske baad Lock Screen & Wallpaper mein jana hai, uske baad Always On Display mein jana hai, aur yahan pe bahot saare Styles milte hain, aapko jo acha lagta hai set kar lena
Benefits – aapko jo style acha lagta hai uske set karne ke baad jaise aap apne phone ko lock karte hain, wo style aapko lock screen par dikhta rahega, aur isse aapke phone ka Look acha hota hai, aur battery ki tension mat lena, ye feature battery ziyada nahi khayega


4 : Vivo V40 & V40 Pro Ambient light effect

Vivo V40 & V40 Pro Secret Features

How To On – iske liye jana hai Settings mein uske baad Dynamic Effects mein, uske baad, Ambient Light Effect mein jana hai, yahan me aap Light effects set kar sakte hain, calls,Notifications,Music ke liye..
Benefits – sabse pahle yahan pe Music aur Incoming Call aur Notifications, ko on kar lena, uske baad aapko call aata hai jo display ke edge mein light effect ayega aur isse aapka phone bahot acha lagta hai, aur aap notifications aur music aur calls, in sabke liye alag alag light effect set kar sakte hain


5 : Vivo V40 & V40 Pro Notification history

Vivo V40 & V40 Pro Top Features

How To On – isko istemaal karne ke liye jana hai Settings mein, uske baad jana hai, Notifications mein uske baad Notification History mein jana hai, aur yahan se isko on kar lena hai
Benefits – doston isko on karne se aapko jo bhi sms aur notifications aate hain, wo aapko yahan pe dikte hain, 24 hours tak rahte hain, matlab peechle 24hr mein jo bhi sms notifications aaye hain wo yaha pe dekh sakte hain, aur aapko whatsapp pe msg karke koi bhi Everyone delete karta hai, wo msg bhi aapko yahan pe dikhta hai


6 : Vivo V40 & V40 Pro Notifications on lock screen

Vivo V40 & V40 Pro Settings

How To On – ye zabardast hai, jaavo Settings mein, uske baad jaavo Notifications mein uske baad Notifications On Lock Screen mein aana hai, uske baad Dont Show Any Notifications par set kar lena hai
Benefits – ye by Default To Hide silent conversations and notifications rahta hai, aur aapko OTP/Sms aate hain toh wo lock screen pe dikte hain, Aur lock screen se OTP leke aapke accounts ko koi bhi H@ck kar sakte hai, uss liye aap Dont Show Any Notifications kar lena hai, toh Lock Screen pe OTP/Sms nahi dikhenge, aur aap safe rahenge


7 : Vivo V40 & V40 Pro Battery health and charging

Vivo V40 & V40 Pro Special Features

How To On – isko chalu karne ke liye jana hai, Settings mein uske baad jana hai, Battery mein, uske baad jana hai Battery Health And charging mein, aur Fast Charging ko on kar lena hai
Benefits – Aap Fast Charging ko on karenge toh aapka phone fast charge hoga, aur saat mein isi settings ke Fast Charging ke upar aapko dikhta hoga, Maximum Battery Capacity, yaha pe jitne ziyada Percentage batayega, battery utna achi hogi


8 : Vivo V40 & V40 Pro Voice isolation

Vivo V40 & V40 Pro tricks and tips

How To On – iske liye jana hai Settings mein Uske baad jaavo Shortcuts & Accessibility mein, uske baad jaavo Voice isolation mein aur yahan pe jo bhi applications hai unko Always On karna hai
Benefits – aap jo bhi apps ko yahan pe Always On kar lenge toh aap call pe baat karenge toh samne wale ko aapki awaaz clear sunayi degi Noise nahi aayega, agar aap traffic place pe hain toh bhi


9 : Vivo V40 & V40 Pro Face beauty for video call

Vivo V40 & V40 Pro Advance features

How To On – iske liye jaavo Settings mein, uske baad javo Shortcuts & Accessibility mein, uske baad jaavo Face Beauty For Video Call mein aur yaha se isko on karlo
Benefits – isko on karne se aap Video Call pe baat karte waqt saamne wale ko aap ka face khubsurat dikhega beauty dikhega,


10 : Vivo V40 & V40 Pro Smart Answer

Vivo V40 & V40 Pro top 10 features

How To On – isko on karne ke liye jana hai Settings mein uske baad jana hai shortcuts & Accessibility mein uske baad jana hai Smart Motion mein jana hai uske baad jana hai Smart Calling mein uske baad Smart Answar ko on kar lena hai
Benefits – isko on karenge toh, aapko call aata hai, aapko finger se click karke call uthane ki zaroorat nahi, call aane baad jaise aap phone ko kaan ke paas le jayenge to automatic call uth jayega


doston ye the isi Vivo V40 Series ke top 10 features aur aap isi tarah ke 60 se ziyada features wala YouTube Video Dekhna Chahte Hain Toh Click Here pe click karke dekh sakte hain.. Thank You

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *